Thursday, November 26, 2009

Iss Baar Nahin




A Tribute to Every Indian and Every Mumbaikar and a salute to Indian Army.

This poem was written by the Great ad man , lyricist Prasoon Joshi when India has faced the worst and coward attack by the some extremists. But it depends on How we accept the fact , and how we gonna face the fact in future. A spontaneous poem by the Lyricist has deep concern over the event and a promise that we all togather will fight against the sorrow and Pain.

In the voice of Mr. Amitabh Bacchan , the best narrator India has in its past years. The pronunciation of the each word is very clear , and every stanza 'll provoke a thought in your mind.


Video Courtesy By: Times Now News Channel

Iss Baar Nahin

Is baar jab woh choti si bachchi mere paas 

apni kharonch le kar aayegi
Main usey phoo phoo kar nahin 

behlaoonga
Panapney doonga uski tees ko
Is baar nahin

Is baar jab main chehron par dard likha 

dekhoonga
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale
Dard ko risney doonga,utarney doonga 

andar gehrey
Is baar nahin

Is baar main na marham lagaoonga
Na hi uthaoonga rui ke phahey
Aur na hi kahoonga ki tum aankein band 

karlo,gardan udhar kar lo main dawa lagata 

hoon
Dekhney doonga sabko hum sabko khuley 

nangey ghaav
Is baar nahin

Is baar jab uljhaney 

dekhoonga,chatpatahat dekhoonga
Nahin daudoonga uljhee door lapetney
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake
Is baar nahin

Is baar karm ka hawala de kar nahin 

uthaoonga auzaar
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat
Nahin banoonga misaal ek karmyogi ki
Nahin aaney doonga zindagi ko aasani se 

patri par
Utarney doonga usey keechad main,tedhey 

medhey raston pe
Nahin sookhney doonga deewaron par laga 

khoon
Halka nahin padney doonga uska rang
Is baar nahin banney doonga usey itna 

laachaar
Ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm 

ho jaye
Is baar nahin

Is baar ghawon ko dekhna hai
Gaur se
Thoda lambe wakt tak
Kuch faisley
Aur uskey baad hausley
Kahin toh shuruat karni hi hogi
Is baar yahi tay kiya hai

Jai Hind

http://www.youtube.com/watch?v=m3rZmCw_BPU

No comments: